Pages

Tuesday, 4 July 2017

Kam Paise Me Business Kaise Kare, Rs 10000 Se Kam Ke 10 Best Plan






Janiye kam paise me business kaise kare? Bilkul kam investment, punji, rupay, lagat me business se paisa kamane ka mantra. Earn, make money from the low investment aur baniye self employed and independent person.



Doston, agar aap job karte hain aur aap khush nahi hai apni job se ya jitna aap earn kar rahe hain usse. To janiye ki kaise hum kam paise ka business kar sakte hain aur ban sakte hain ameer.



Kam paise me business kaise kare


Small investment wale to bahut sare hain. Per hum yahan baat kar rahe hain 10000 se kam investments se paise kamane ke mantra ya upay ka. To iss article mein hum sirf 10000 tak ya usse bhi low investment wale business ke bare mein baat karenge.

Plant Nursery

Ye business esa hai jo har ghar ki requirement hai. Ji haan, gareeb ho yaa ameer rose plant se lekar tulsi ka paudha tak kisi na kisi ghar mein kuch na kuch apko mil hi jayega.

Aap on demand bhi plant ya plants with pot logon ko supply kar sakte hain. Dekhiye, ab bari nursery ya choti nursery kholne ke bare mein mat socho. Kyunki usme to 10000 se jyada ka investment hoga. Ho sakta hai 1 lakh se 3 lakh tak ka bhi kharch ayega. To phir kaise? Chaliye dekhiye kya tips hai:

Tips: Aap pamphlet chapwa ke use distribute kar sakte hain society, school, colleges or news paper ke madhyam se. Phir dekhiye jaise hi koi lead ayega, uske baad unke order ko unke jeb (Pocket) ke hisaab se bech dijiye.

Can read: Paise kamane ke 10 best apps.


Gents/ Ladies Tailor

Ji haan, agar apko tailoring ka shokh hai to aap gents ya ladies tailor banke bhi bahut asani se paise kama sakte ho. Iske liye apko dukaan ya shop ke liye rent ya advance deposit ke bare mein nahi sochna hai. To phir kaise kam paise me business karke ameer bane? Chaliye dekhiye tip ko.

Can read: Online paise kamane ke 100 best tarike.

Tips: Bas ek board laga dijiye aur second hand machine le lijiye. Jab bhi kisi ke kapade silein to next time 10% discount uske apne kapadon per ya reference lane par dene ka bharosa dein. Sath hi sath pamphlet distribution se bhi aap ghar baithe business karke achcha paisa kama sakte hain.

Portable Breakfast Shop

Ji haa, portable breakfast shop ka business aajkal bahut chal raha hai. Jiske liye apko lakhon ka investment nahi chahiye hota hai. Jaise, Mumbai mein Idli/vada seller, vada paav seller ya poha seller subah subah bus stand ya railway stands per hote hain. Aur saste rate mein delicious breakfast dete hain.
Ismein dono taraf ka kaam ho jata hai. Bachelors ya unmarried ka nashta ho jata hai aur seller ka kuch ghanto mein hi jeb bhar jata hai.

Become Blogger

Agar aap kisi topic par achcha likh sakte hain aur unlimited likh sakte hain to blogger ban jao. Ji haan, bas kuch 3000 tak ka kharcha hoga, website banega aur aap apne blog/website ko online magazine jesa interesting bana sakte hain.

Can read: blog se paise kaise kamaye ?

Uske baad jaise jaise apki website ki traffic badhegi waise waise aap ki earning via direct ads, affiliate programs ya google adsense se achi aur bari hoti jayegi.

Tiffin Service

Agar aap khana achcha bana sakte hain to ye ek esa business hai jo kahin bhi chalega. Kyunki ache khane ka to har koi shaukin hota hai. Iske liye apke pass bas gas, barton aur talent hona chahiye. Phir dekho ki kaise aap kuch hi dino mein kam paise me business karke kahan se kahan pahunch gaye.

Job consultancy business

Ye business aaj kal bahut jyada demand mein hai. Ji haan, har company mein man power ki jarurat hoti hai. Bas aap kuch companies ke sath tie up kar lijiye aur kam paise mein unhe achha man power provide karein.

Jaise jaise business set ho jaye to uske baad apni fees ko increase karein. Bas ek baat ka dhyan rakhein ki un employed logon se paise naa lein. Kyunki companies apko paise denge hi.

Can read: Ghar baithe paise kaise kamaye ? Janiye naye aur nayab tarike.


Agarbatti ka business

Agarbatti ek esa product hai jo lagbhag har ghar mein use hota hai. Aur agar aap thora mehnat karein to bina machine ke bhi agarbatti bana saktein hai. Baad mein jab paise aa jayein to machine kharid ke apne business ko aur badha saktein hai.

Second hand car/bike selling

Iss business mein lagbhag naa ke barabar investment hai. Ismein aapko apne contacts ko badhana hai. Jaise jaise apka dayra badhega waise waise aap apne contacts ka use kar sakte hain.

For example, sahi second hand car seller ko agar sahi coustomer mil jaye to kya baat hai. Aur uss baat ke liye aapko kuch commission mile to usse bari koi baat nahi ho sakti. Agar aap dekhein to kai bare naam jaise car dekho ya cartrade kabhi chote level se shuru huye the aur abhi bahut bara naam hai automobile industries mein.

Online selling business

Agar aap koi esa product bana sakte hain jo kisi bhi customer ko apni ore khichega to use online bhi bech sakte hain. In fact, product hi nahi koi bhi service jiski demand jyada hai aur aap provide kar sakte hain to apki to nikal pari. Jaise ki SEO services, Web designing, online tutorial ya koi bhi apka apna product.

Can read: Online dollar kamane ke tarike kya hai? Janiye aur apni mehnat se ameer bane.

Bas seller ban jayiye flipkart, snapdeal ya amazon jaise naami E-commerce portal par aur low investment yak am paise ka business shuru karke ameer ban jayein.

Bakery Products Ka Business

Ji haan, aaj kal logon ke paas time ka shortage hota hai. Aur agar aap biscuits, paape, cake, ya fen bana sakte hain to samajh lijiye ki ese logon ke liye aap vardaan se kam nahi hain. Jo tea ya coffee ke sath bhi ye sab khan sakte hain aur time par office, school, college ya apne business par jaa sakte hain

Kam paise ka business Karke paisa kamane ka mantra


abhi abhi aapne wo business ideas dekhein jo sirf kuch paison ke investment se hi shuru ho sakta hai. Ya keh lo bilkul hi low investment se start ho sakta hai. Par kya aap jante hain ki business ko badhane aur success pane ke liye apke pass kya mantra hona chahiye? Agar pata hai to bahut achhi baat hai aur agar nahi to jarur in baaton ka dhyan rakhein.


  • Target – apka business aur uski safalta hi apka target hona chahiye.
  • Punctual – Agar aap punctual nahi hai to business dubone mein aap bahut aage rahenge.
  • No friends/Relatives – apne business se friends aur relatives ko dur rakhein. Kyunki ye log credit par letein aur bhul jate hain.


Can read: Whatsapp se paise kaise kamaye? Janiye kam paise me business kaise kare.

Agar aapko lagta hai ki aapka boss ya supervisor apko kam samjhta hai. To dikha do use bhi ki aap bhi self employed ban sakte ho aur kai logon ko rojgar de sakte ho. Ji haan, kuch sochega India tabhi to aage badhega India.

Conclusion

Doston, aaj apne dekha ki kaise aap kam paise me business shuru kar sakte hain. Agar apka koi friend aisa hai jo khud ka kuch karna chahta hai to aap use ye article suggest kar sakte hain.

Can read: Mobile phone se paise kaise kamaye? Janiye asaan aur jaldi paise kamane ka tarika.

Can read: Facebook se paise kaise kamaye ? Janiye sabse asaan aur kam paise me business shuru karne ka tarika.

Agar apko aaj ka hamara article on kam paise me business kaise start kare achcha laga to please ise share ya like kare facebook or tweeter par. Aap paise banane ke aur tarike janna chahte hain to please hamare Make money collection ko dekhein.

No comments:

Post a Comment