Pages

Saturday, 18 February 2017

Muhase, Chehre Ke Daag Or Pimples, Hatane Ke Upay, Tarika







Aaj dekhenge muhase, chehre ke daag or pimples hatane ke upay in Hindi. Best, gharelu, home remedies for face clean karne ke tips, tarike, upay in Hindi.







Chehre Ke Daag Or Pimples – Karan Jano


Ji haan, sabse pehle chehre ke daag or pimples ke karan janenge aur phir uska upay dekhenge. Kyunki kisi bimari ka ilaj tabhi ho sakta hai jab uska reason malum ho.


  • Spicy foods – Jo log spicy khana pasand karte hain. Unke chehre par pimple hona asan hota hai. Spicy foods apke skin ka pH level kam kar dete hain jiski wajah se acne ya pimples ho sakte hain.
  • Smoking – Jitni der ya baar aap cigarette ko jalate hain. Utni der tak oxygen apke face tak nahi pahunch pata hai. Smoking se cancer ya wrinkles hi sirf nahi aate. Iski wajah se skin dry bhi hoti hai jo ki pimple ka karan ho sakti hai.
  • Scrubbing your skin too hard – Agar aap apne skin ko jor se rub karoge jis part mein acne hai. To uska bacteria spread ho jayega jo aur worse ho jayga.
  • Wrong detergent – Jis detergent ko use karke aapke kapre, bed cover aur pillow dhulte hai wo agar achcha nahi ho to apke chest, face ya back mein raishes aa jaate hain. Jiski wajah se pimple ya daag hone ke chance badh jate hai.
  • Don’t touch face frequently – apka hanth saaf nahi hota hai, phir bhi log face ko touch ya saaf karte rehte hain. Jiski wajah se hantho ka bacteria face par transfer hota hai. Uska result muhase ya pimple hota hai.
  • Not washing face – Bahar se aane ke baad log face ko clean nahi karte hain. Ya keh lein sirf paani se dhote hain. Ab socho itna pollution hai bahar phir bhi log agar face ya body ko achche se clean nahi karenge to kya hoga?

Can read: Dandruff khatam karne ka tarika, upay in Hindi.

Doston abhi to hamne dekha ki chehre ke daag or pimples ke kya karan ho sakte hain. Ab hum dekhenge ki isse bachne ke liye hum kya kya home remedies use karenge.


Muhase Ke Daag Hatane Ke Upay In Hindi


Kehte hain first impression last impression hota hai. Isilye first impression ko khaas aur damdaar banane ke liye jo ek ehem role play karta hai wo hai face / shakal. Ab bhai uperwale ne to sabko ache looks diye hain bus iski dekhbhaal kam hi log karte hain ya yun kahen to kuch hi logon ko pata hai ko iski dekhbhaal kaise karni hai. Doston zaruri nhi ki makeup hi aapki khubsurti ko nikharti hai. Agar aap apni ka khaas khayal rakkhen toh apki healthy hogi aur apki simplicity apko lakho mein ek alag aur khaas pehchan delayegi. Apne chehre ke daag hatane ki cream bhi use ki hogi jo dawa karta hain ki chehre ke daag dhabbe itne dino mein hatayenge per koi fayda nhi hua. Muhase ke daag hatane ke upay bhi kiye honge per usme bhi asafal rahe. Doston apko niraash hone ki koi zarurat nhi hai. Kyunki prakriti ne jo khubsurati apko pradaan ki hai uska khayal rakhne ke liye na apko mehenge product kharidne hain ab na hi pareshan ho ki zarurat hai. Bas hamare diye hue kuch khaas tips ko follow karen aur paye manchahi tawacha.

Can read: Body banane ke liye kya khaye, tips in Hindi.

Toh aaj hum apse share karne jaa rahe hain Face clean karne ke tips jo apki se jude kai pareshaniyon ka niwaaran hai.

Aloevera

Aloevera mein Vitamin C, Vitamin E aur beta carotin paya jata hai jo apki ko nourish kartaa hai aur jhurriyon (wrinkles) se aur suraj ke nuksaandeh kirano se bachata hai. Aloevera ek layer ki tarah kaam karta hai jisse aap ki ka moisture bana rehta hai. Aloevera ke poshak aur anti-oxidant tatwon ke karan jaldi kantimay ho jati hai. Regular use se wrinkles dur hote hain. Ye skin ko oxygen pradaan karta hai jis wajah se skin ke tissues majboot hote hain.



  • Cleansing ke liye: Pehele face ko dho len normal pani se aur pat karke dry kar len face ko. Phir aloevera se nikale gaye gel se apne face per massage karen 5mins tak. Massage baad 5mins aur rehne de. Phir cotton ko normal pani mein dip karke face clean kar len.
  • Scrub karne ke liye:Aloevera mein shakkar ya chawal ka aataa lekar face per halke hanth se 1-2 min ke liye massage karen. Scrub ke baad normal pani se face ko dho len. Hafte mein 1-2 bar hi scrub karen.
  • Moisturize karne ke liye:Aloevera gel + 2tsp normal pani daal kar toner taiyyar karen. Ise aap scrub karne ke baad face per apply karen aur naturally sukhne den.


Note: Beheter use ke liye aap is mixture ko kisi spray bottle mein daal kar refrigerate kar sakte hain kyunki iss ghol ko aap 7-8 din tak proyog mein laa sakte hain.

Can read: Pet ki gas ka gharelu upay, ilaj in Hindi.


Gulab Jal

Gulab Jal twacha ko hydrate karta hai. Gulab Jal se Face Clean karke payen naram aur mehekti twacha.

Cleansing ke liye: Ek cotton lekar Gulab Jal mein dip karke face ko achi tarah se clean karen. Ankhon ke pass circular motion mein clean karen. Gulab Jal se face clean karne per aap fresh mehsoos karenge. Ek bowl mein 4-5 tsp dudh (milk) lekar face per do (2 fingers) ungliyon se apply karen. Dudh apke ko ek texture provide karta hai. Isme rang nikharne ki adbhut shamtaa hai. Iske baad dudh ko face per naturally sukhne den. Dudh sukh jane per aap ise halke gungune pani se kisi cotton ki madad se saaf kar den.

Scrub karne ke liye (Shakkar + lemon juice + Olive Oil):Shakkar ke dead twacha ko nikalta hai. Lemon juice dhoop se Tan hui ko sudharta hai. Olive Oil Moisturize karta hai. Yahan aap Olive Oil ke jagah Glyserine ka prayog kar sakte hain agar Olive Oil na ho. Glyserine bhi ko moisturize karta hai. Isse aap achi tarah massage karen. Khas ker nose area forhead, chin dhyan rahe ankhon ke neeche massage na karen isse kyunki ankhon ke neeche ka area bohot sensitive hota hai to inn jagahon per scrub karna theek nhi. Isse wrinkles ane ke chances hote hain. Well ise neck per bhi scrub karen 2-3 mins ke liye.

Ab aap ek bowl mein garam pani lekar face ko steam den. Steam apke ke pores open kar deta hai aur black aur white heads khud bahar aa jate hain. Isse apko unhe nikalne ke liye kam mehnat lagti hai. Steam lene ke baad face saaf kar len. Black head aur white heads ko nikalne ke liye ab aap tissue ka istemal kar sakte hain. Khas tur per ye apko chin area aur nose ke pass milte hain.

Massage karne ke liye (Gulab jal + any moisturing cream / any body lotion):Normally aap jitna lotion apply karte hain usse thoda jyada lotion len aur gulab jal ke sath mix karke face per apply karen. Ab halke hantho se ise massage karen jab tak lotion ko apki sokh na le. Isse neck area se lekar nose, chin, ankhon ke neech ache se massage karen. Dhyan rahe massage hamesha neeche se upar ki taraf karen. Iss process se aapke chehre ki blood circulation badhegi.

Face pack / mask: Last step hai face pack. Iske liye apko 1tsp honey mein 5-6 drops lemon ke mila kar face aur neck per apply karna hai. Iss pack ko 10 mins tak rakhne ke baad normal pani se face dho den. Ab ek saaf towel se twacha ko pat dry kar len.

Can read: Seb, apple khane ke fayde in Hindi.


Baking soda:

Baking Soda face clean karne mein kafi sahayak hai. Baking Soda twacha ko gora nhi banata ye apke twacha mein jami hui gaandagi ko badi asaani se nikal deta hai. Kai bar hum bagair makeup utare hi so jate hain ya harmful products ka istemaal karte hai, cleansing bhi baraabar nhi karte. Inn sab kaarno se mein gandagi jam jati hai aur kai pareshaniyo ko janm deti hain. Iske liye zaruri hai sahi dekhbhaal.


  • Aap badi asaani se baking soda paste apply karke apne face ko saaf kar sakte hain aur iske liye apko sirf 2tsp baking soda aur thoda pani chahiye. Iss paste ko apply karne se pahele gungune pani se nahana hai. Isse apki ke pores open ho jayenge aur dirt ya blackheads asaani se nikal jayenge. Iss paste ki consistency / patlepan ka koi jyada dhyan rakhne ki zarurat nhi. Kyunki agar paste maan lijiye halka geela ho gaya hai to bhi aap isse apply kar sakte hain. Waise hum apko suggest karenge ki aap sahi matra mein pani daliye. Ab iska paste banakar face per apply karen aur 15mins tak rakhna hai. 15mins baad halke gungune pani se dho len. Ise Aap week mein 2 bar zarur use karen. Chehre ke daag aur pimples dur karne ka ye ek rambaan ilaaj hai.
  • Chehre ke daag aur pimples (Muhase) hatane ke liye 2tsp baking soda mein 1tsp lemon juice 1tsp normal pani lekar achi tarah paste banal en aur face per app;ly karen. Iss face pack ko 10min tak rakhna hai. Naturally sukhne den phir halke gungune pani se face clean kar len. Lemon mein Vitamin C hon ki wajah se ye muhaso ko sukhaane mein madad karta hai. Baking Soda twacha ke daag ko dur karta hai.

Can read: Badam khane ke fayde, benefits in Hindi.


Multani mitti:

Khas tur per Oil Twacha walo ke liye Multanio mitti kaargar hai. Multani mitti daag dhabbo ko hatata hai. Ye twacha se access oil nikalta hai aur twacha ko khubsurat aur jawan banata hai. Ise niyamit roop se prayog karne per aap pimples or muhase ke daag hatane ke upay asaani se logon ke sath share kar sakte hain. Multani Mitti ka aap kai tarike se facepack bana sakte hai.

Multani mitti ka pack: Isme hume pani ke alawa aur kuch add nhi karna hai. Iski wajah hai multani mitti khud jisme chamatkari gun hain. Ye apke face ko oil free karke face per glow layega.

Multani mitti + Rose water: Khubsurat aur jawan twacha pane ke liye 2tsp multani mitti mein 3-4tsp Gulab Jal mila kar paste banaye aur aaply karen. Sensitive aarea jaise ankhon ke neeche aur lips ko cover na karen iss paste se. Isse face aur neck per ache se ek brush ki madad se aaply karen. Apko 20mins tak iss paste ko rakhna hai.

Ab Cotton ball ko normal pani mein dip karke isse geela karen aur halke hantho se rub karte hue pani se dho den.

Multani mitti + Chandan Powder + Rose water: Jin logon ko pimples aur acne ki shikayak hai unka liye ke bohot faydemand tip hai. Kyunki Chandan Powder mein antiseptic gun hain. 1tsp Multani Mitti ko 1tsp Chandan Powder aur 3-4tsp Gulab jal ke sath mila len. Ab iska paste bana len. Iss paste ko barabar matra mein pure face per apply karen bus sensitive area ko na dhaken. 15 mins iss pack ko rehne den phir normal pani se face dho den. Ye face pack twacha ka rang bhi nikharta hai.

Multani Mitti + Tomato Juice + Chandan Powder + Haldi: Twacha ko nourishment provide karen ke liye iss paste ka upyog karen. 2tsp Multani Mitti mein 1tsp Tomato Juice, ek chutki haldi powder aur ek chutki Chandan Powder daal kar mila len. Isse bhi aap usi tarah apply karenge jaise har face pack apply karte hain. 10-15mins rakhne ke baad gungune pani se dho den. Ye face pack apki twacha ko sirf nourishment hi nhi provide karta hai balki pimples jaisi kareshaniyon se bhi dur rakhta hai. Twacha ki rangat nikharta hai.

Can read: Kamar dard ka ilaj, totka in Hindi.

Multani Mitti + cucumber + Rose water: Agar apki twacha Tan hui hai to ye pack apply karen. Iss taiyyar karne ke liye apko chahiye 1tsp Multani Mitti, Cucumber ke 5-6 kate hue chote chote tukde paste karke, 1tsp Gulab Jal. Inhe ache se mila len aur face aur neck per apply karen. 15mins tak iss paste ko rakhna hai aur phit halke gungune pani se dho den. Cucumber apke face ko nikhar pradaan karta hai aur suraj ki kirano se jo twacha Tan hui hai usse rahat deta hai.

Multani Mitti + Lemon Juice + Rose water: Agar aap Muhaso ke daag hatane ke upay janta chahte hain to apko 2tsp Multani Mitti mein 10-12 drops Lemon Juice + 1tsp Rose water achi tarah mix kar len. Iss paste ko aap face per apply karen khasker muhaso per. Iss pack ko 20mins tak face per rakhna hai phir halke gungune pani se face dho len. Iss face pack ko aap ek din ke gap per alternate days apply karen agar muhase jyada hai. Ye face pack apki muhaso ko dur karega aur apko dega ek damakti twacha.

Dekha aapne Multani mitti kitne kaam ki hai? Isse, chehre ke daag or pimples easily theek kar sakte hain.

Can read: Dant dard ka ilaj, Gharelu upay in Hindi.

Tomato

Tomato mein Lycopene high level mein paya jata hai, jis wajah se ye oxygen ka santulan twacha me banaye rakhta hai. Isme Vitamin C, Vitamin A aur antioxidants hote hain jo apko twacha ke kai rogo se mukt karata hai. Muhaso (Pimples) se mukti milti hai iske niyamit prayog se. Kai logon ke twacha ke pores kafi bade hote hain. Tomato unke open pores ko kam karne me sahaayak hai.Tomato aging ki samasya se nijaat dilata hai. Ise niyamit prayog se wrinkles / jhuriyan nhi ati. Ye apki twacha ko healthy aur glowing rakhne me madad karta hai.


  • Muhaso se bachne ke liye ya dur karne ke liye Tomato ke piece se simply face per gentle way mein rub karen. 10mins baad normal pani se dho le. Ise aap week mein 3 bar prayog kar sakte hain.
  • Tomato ko sugar ke sath scrub karen. Isse dead twacha nikal jate hain aur ye scrub face ko glow pradaan karta hai.
  • 2tsp Tomato juice + 2tsp lemon juice ko mix karke cotton ball se face per rub karen slow motion mein. 10-15mins tak ise rakhna hai phir normal pani se dho len. Ye open pores ko kam karta hai.
  • Sunburns se nijaat pane ke liye tomato paste mein ½ cup dahi mila len aur ise face per apply karen. 10-15mins ke baad normal pani se dho len.
  • Glowing twacha ke liye tomato ko honey ke sath apply karen aur 10min tak rakhna hai. 10min baad aap normal pani se dho sakte hain.


Ab samjhe, tomato se kitne fayde hote hain? Ji haan, ye aapke face saaf karne ke tips mein se bahut important tips hai.

Can read: Hatho ko gora karne ke gharelu tips in Hindi.


Sugar + Honey + lemon juice + Coconut Oil

Ye scrub na hi apki twacha ko exfoliate karta hai balki lemon apki twacha se excess oil nikal deta hai. Sath hi lemon mein Vitamin C bharpur matra mein paye jate hai. Honey mein anti-microbial tatwa hote hai aur kaha gaya hai ki honey apki twacha ki imprities ko nikalne mein nipun hai. Honey apki twacha ko moisturize karne ka kaam bhi karta hai. Coconut oil hydrate karne ka kaam karta hai. Iss scrub ko banane ke liye apko chahiye 1tsp Sugar + 1tsp Honey + ½ tsp lemon juice + ½ tsp Coconut Oil .Inhe achi tarah se mila len aur face per apply karen. 15mins baad face normal pani se dho len.

Can read: Baal lambe karne ke gharelu nuskhe in Hindi.


Conclusion

Doston, hamne abhi abhi dekha ki Face clean karne ke tips, chehre ke daag or pimple hatane ke upay kya hai Hindi mein. Agar apko hamara content on muhase ke daag hatane ke upay in Hindi achcha laga to share karein. Aap share kar sakte hain online or offline friends ke sath kar sakte hain.

Can read: Ghutno ke dard ka ilaj, treatment in Hindi.

Can read: Bukhar ka gharelu ilaj, upchar in Hindi.

Agar aap kuch puchna chahte hain to puch sakte hain. Otherwise, like ya tweet kare hamare liye. Aap chahe to hamare health tips collection ko enjoy kar sakte hain.

No comments:

Post a Comment