Aaj dekhenge ki Mobile ka aviskar kisne kiya. Phone to use karte hain par uska invention, khoj kisne ki shayad hi pata ho. To kyun na mobile phon ke aviskar se lekar uske har development ke bare mein baat karein?
Doston, aaj hum yehi sab dekhenge aur samjhenge ki aadmi ka dimaag kahan kahan tak chal sakta hai. Aur aap log bhi manenge ki mobile ka aviskar kisne kiya ya kab kiya log jante nahi hai. Par phir bhi ek karishmai gift hai hum sabke liye.
Mobile ki khoj kisne ki – Pehle Fayde jano
Ji haan, who has invented mobile phone ya mobile ki khoj kisne ki to dekh liya. Ab jaanenge ki isse kuch fayde bhi hain ki nahi.- Gift for lovers – Ji haan, agar aap pyar mein ho to mobile phone kahin bhi use kar sakte ho apne lovers se baat karne ke liye. Jaise ki, pillow ke niche, rajai ke andar, toilet mein, roof par ya bus stand etc par.
- Gift for Business – Businessmen ke liye ye kisi wardan se kam nahi. Koi bhi urgent ya important call ya mail send ya receive kar sakte hain.
- Gift for Parents – Sabse bara fayda mobile invention ka to parents ke liye hai. Aap apne bachho ke sath coordinate kar sakte hain. Unki location findout kar sakte hain minutes mein.
Can read: Computer ka aviskar kisne kiya, Invention kisne ki ?
Aise kai fayde hain jo mobile ko hamare life ka part banata hai. Aur shayad kabhi hum ise apne se dur bhi na karein. Kyunki yeh hame apno se jorta hai.
Mobile Ka Aviskar Kisne Kiya
Mobile ka aviskar kisne kiya ye bhi ek interesting story hai. Iski kahani mein bhari bharkam phone se lekar halke aur attractive mobile phones shamil hai. Duniya ka sabse pehla telephone ka patent agar kisi ke pass hai to wo hai Alexander Graham Bell.
1876 mein, Mr. Bell ne ek technology developed ki jo telegraph ke liye use hota tha. Agar call karna hai to wo ek telephone operator ke jariye connect karaya jata tha.Aur mobile telephony ki baat kare to uski neeb to 1890 mein hi par gayi thi. Jab Charles Stevenson ne radio communication ka aviskar kiya.
Can read: Software kaise banate hain, software banane ka tarika kya hai ?
1926 mein, first class passenger train ne use kiya radio telephones. In fact, ye radio phones air traffic safety aur aeroplane ke passengers ki safety ke liye bhi use kiya jata tha.
Note: Second world war mein to german tanks ne achche se use kiya tha radio telephones ko.
Sabse bara turning point jo aya mobile technology mein wo aya 1947 mein. Jab bell labs ke engineers ne base station develop kiya mobile phones ke liye. In fact, usi saal W. Rae Philip aur Douglas H. Ring ne ek hexagonal cells develop kiya mobile phones ke liye.
First Automatic Cellular phone
Kya apko pata hai pehla cell ya mobil ka aviskar kisne kiya tha? To answer hai ki, mobile phone par kaam pehle se hi chalu tha. Par pehla automatic cellular phone Ericsson company ne hi banaya tha. Ise 1956 mein banaya tha aur Jisko naam diya gaya tha MTA.
Iske heavy weight ki wajah se logon ka interest kam tha iss phone ke prati. Ye dekhte huye company ne 1965 mein light weighted mobile phone banaya aur naam rakha MTB.
First Wearable Mobile Phones
Ab batao kya apko pata hai ki pehla wearable mobile ki khoj kisne ki thi? Nahi pata to koi baat nahi. 1957 mein, Leonid Kupriyanovich ne ek radio phone develop kiya jiska naam LK-1 rakha.
Can read: Mobile se Paise kaise kamaye? Janiye mobile discovery ke baad paise kamane ka tarika.
Important points about LK-1:
- Battery life -20-25 hours ki thi.
- Mobile weight around 3 kg tha.
- Base station se 20-30 km ki duri tak kam karta tha.
Baad mein isi saksh ne light weight mobile phone banaya tha usi saal mein.
First Automatically operated Phone
Ab tak to hamne dekha ki base station se kuch km ki limit tak hi aap mobile phone use kar sakte the. Par kya aap jaante hain ki automatically operated mobile ka aviskar kisne kiya ? Unka naam, Ames E. Joel tha. Jinhone 1970 mein esi technology ko develop kiya.
Benefit of this mobile phone discovery:
- Mobile phones use kar sakte the across the cell areas.
- Koi call ya conversation ke loss ke bina aap easily baat kar sakte the.
Phir 1971 mein, AT & T ne mobile phone service shuru kiya jise FCC ka approval bhi mila baad mein.
Earliest commercial cellular phones
Kya aap jante hai ki commercial mobile ka aviskar kisne kiya ? ji haan, ARP network’s ne Finland mein ise launch kiya tha. Jiska naam unhone Zero Generation mobile network rakha tha.
Iss tarah se mobile phone ka upradation hota gaya.
Modern Mobile Phone
Kya aap jante hain ki aaj kal ke mobile ki khoj kisne ki ? Ji haan, credit milta hai Martin Cooper ko. Khali Mr. cooper bolenge to galat hoga, sath mein Motorola ke employer aur researcher ko bhi credit dena chahiye.
Martin Cooper ne 1973 mein, ek cellular phone banaya. Jiska naam rakha gaya Motorola Dynatac.
Motorola Dynatac ke features:
- Iski width 5 inches thi aur iski length 9 inches tha.
- Iska weight 2.5 pounds tha.
- Iska talk time limit 35 minutes ke aas paas tha.
- Bas display screen na ke barabar tha.
Can read: Whatsapp se Paise kaise kamaye ? Janiye mobile se paise kamane ke aur tarike.
Iss tarah se mobile ki khoj hui aur shayad aage bhi naya naya invention hota rahega. Aur aap naye naye logon ke naam jante rahoge.
Conclusion
Doston, aaj hamne dekha ki mobile ka aviskar kisne kiya. Ab agar aap se koi puche ki mobile ki khoj kisne ki to shayad aap bata sakte ho. In fact, agar apko hamara aaj ka content on Mobile ka aviskar kisne kiya achcha laga to please apne friends ke sath share karein.
Agar aap kuch puchna chahte ho to puch sakte ho. Otherwise, aap hame like kar sakte ho facebook par. Samjh lo ki aapka har ek like hame motivate karega aur achcha content likhne ke liye. Kuch aur interesting facts dekhne hai to suvichar collections ko dekhein.
No comments:
Post a Comment