Thursday, 19 January 2017

Safalta Pane Ke Upay, Tarike, Ways to Success In Hindi







Aaj dekhenge ki safalta pane ke upay, tarike, ya totke kya hai. Har koi safalta pana chahta hai par har koi safalta pane ke upay dhundh nahi pata. Let's see how to find the ways to success in Hindi.




Aaj ham har ek chote se chote pehlu par baat karenge. Jiske chukne par aap asafal bhi ho sakte hain. Infact, aap kai baar asafal huye bhi honge. Chaliye milke jante hain safalta pane ke upay in Hindi.


Safalta Pane Ke Upay In Hindi


Caliber

Sabse pehle hame koi bhi kaam karne se pehle do baaton ka dhyan rakhna hai:

  • Kaam ka caliber – Jo kaam aap shuru kar rahe ho, uska caliber kya hai. Matlab kitni chamta chahiye use shuru se aakhir tak le jaane ke liye.
  • Apka caliber – Ab dekhna hai ki wo kaam aap kar sakte ho ki nahi. Agar nahi to apne caliber ke hisab se koi kaam chuno aur aage badho.

Jab aap apne hisab se kaam ko parkhoge to ek perfect formula banega.


Apka Caliber + Kaam Ka Caliber = Successful work
Can read: Computer Ka Aviskar Kisne Kiya ? Janiye Ways to success to discover comptuers.

Interest

Ab dekhna hai ki jo kaam aap kar rahe ho usme kitna interest hai. Isliye iss baat ka dhyan rakhna ki:
  • Kaam ke liye intrest – Kisi bhi chune huye kaam ko karne ke liye apka interest kitna hai.
  • Kitne der ke liye interest – Agar interest hai, to wo kab tak aur kis level tak bana rahega.

Agar, kaam shuru karte waqt interest high hai aur khatam hone se pehle low hota hai to bara failure kehlata hai. Isliye perfect formula hai:


Starting interest = Ending Interest

Iska simple matlab hai ki aap interested end tak the aur successful isliye hi bane ho.

Can read: Online dollar kaise kamaye ? Janiye safal aadmi banne ke tarike.


Don’t copy others

Ji haan, kisi ko copy mat karo. Kyunki copy karne mein bhi dimag chahiye aur dimag wale do tarah ke hote hain:
  • Atittude wale – Ye log tut sakte hain par jhuk nahi sakte.
  • Self respect wale- Inhe apni aan baan aur shan pyari hoti hai.

Jinke pass dimag nahi hota wo dusro ke dimag par trust karte hain. Jiski wajah se wo hamesha muh ke bal girte hain. Safalta ke upay ke liye formula hai:


Apna dimag – dusro ka dimag = Successful life

Can read: Mobile se Paise Kaise Kamaye ? Janiye success story to become rich.


Economic stability

Sabse important part hai ye, kisi bhi soch ko hakiqat mein lane ke liye. Economic stability bahut jaruri hai kisi bhi sapne ko sakaar karne ke liye. Kyunki Paisa sabkuch karta hai:
  • Paisa hansaata hai
  • Paisa rulata hai
  • Paisa dubota hai
  • Paisa achcha ya bura waqt dikhata hai


Can read: Ghar Baithe Paise Kaise Kamaye ? Sabse asaan aur safal upay.

For example, aap ka sapna hai taaj mehal banana ka aur apke pass paisa aur waqt hai sirf chota sa ghar banana ka. Ji haan, agar aapke business, career ya studies ka koi plan hai to economic backup ko tayyar rakhe.

Follow mentor

Aap kisi ko apna guru mano aur uski unchain ke aas paas pahunchne ki koshish karo. Jaise ki:
  • Cricketers – sachin ko guru maan kar uske jaisa banne ki sochte hain.
  • Actors – Amitabh, Shahrukh ya salman jaisa banna chahte hain.
  • Businessman – Ambani, tata, ya bilgates jaisa banna chahte hai.

Bas apne virtual guru ko follow karte raho aur unke jaisa banne ki aag hamesha dil mein jalaye rakho.

Can read: Software Kaise Banate Hai, Janiye kaise safal ho sakte hain software bana ke.


Don’t ride on others shoulder

Ji haan, agar apko safalta ke upay, tarike chahiye to kabhi bhi kisi aur ke kandhe ka sahara mat lena. Shayad kabhi aapne sabse bharose wale insaan par trust kiya ho aur usi ne apko beech majhdar mein chor diya ho.
Hamesha yaad rakhna ye do baaton ko:
  • Kya apki expectation ka bojh dusre log utha payenge?
  • Kya apki expectation ka bojh apke apne kandhe utha payenge?

Bas isi sawal mein chipa hai apki safalta ka raaj.


Expectation + performance = Successful life

Planning and Different planning

Ji haan, asafal log kehte hain yaar plan to achcha tha phir bhi fail ho gaya? Par kya apko pata hai unke fail hone ka karan kya hai?
  • Plan A banaya
  • Plan B banaya
  • Plan C, D aur E nahi banaya

Bas ye hi hai unke failure ka raaj. Log smartness dikhate hain aur plan A ya plan B banate hain par Plan B bhi fail ho gaya to use asafal paryaas samajh lete hain.

safalta pane ke upay ka sabse mahatwpurn formula hai:


Plan A + Plan B + Backup Plans = successful life

Different targets

Log kehte hain ki apka target ek hi hona chahiye. Ham bhi kehte hain, ek hi lakshya hona chahiye bas target alag hona chahiye. Confused? No problem, thora detail mein samajho.

Can read: Ameer Kaise Bane, Janiye Amir banne ke safal aur asaan tarike.

For example, apka lakshya hai doctor banana, to apka target kya hona chahiye?
  • Science stream lena.
  • Entrance exam pass karna
  • M.B.B.S achche percentage se pass karna
  • Doctor ban ke logon ki seva karna

Aapne dekha na, lakshya ek hi tha bas target badal rahe the. Par sab target ka ek hi lakshya tha doctor banana.

Can read: Laxmi prapti, Dhan prapti ke Upay aur tarike.


Accept failure

Apni asafaltaon ko shan se accept karo. Kyunki aapki muskuraahat se to apke dushman bhi jalte hain to failure kya cheeze hai. Gir kar uthne wale fail nahi hote, gir ke naa uthne wale fail hote hain.

Trust yourself

Ji haan, apka apne aap par bharosa karna bahut jaruri hai. Jab apko apne aap par hi trust nahi hoga to larai kya khaak jeetoge? Successful log hamesha trust karte hain:
  • Apne aap par
  • Apne parivaar par
  • Apne bhagwan par

Agar aapko bhi safalta ke upay, tarike dhundhne hai to apne aap par trust karna sikhein.

Can read: Website, Blog se Paise Kaise Kamaye

Celebrate small success

Ji haan, aap apne choti si choti safalta ko celebrate kare apno ke sath. Taki bari celebration dhoom dham se ho aur apno ke aashirwad ke sath ho. 

Spy competitors

Safalta ke upay dhundhne walon ko ye kabhi nahi bhoolna chahiye ki apka competitors kaun hai. Bas top 10 competitors dhundh lo aur unme se kisi ek ke piche lag jao. Matlab, usne kya, kaise, kab aur karta hi ja raha hai janne ki koshish karo.

Isko ese samjho, khud ka ghar banana mein to time lagta hai. Par dusro ke ghar mein rent par easily reh sakte hain. Theek waise hi apne competitors ke tarikon ko follow karo aur easily success ko prapt karo. 

Can read: Whatsapp Se paise kaise Kamaye ?

Friends with competitors

Spy karna competitors ko to ek baat hai. Par agar aap unke dost ya partner ban jaye to samajh lo ki apki baithe baithe hi nikal pari. 

Be Loyal

Loyal hona bahut jaruri hai. Ji haan, apko loyal hona parega:
  • Apne kaam ke prati
  • Apne Bhavishya ke prati
  • Apne Career ke prati

Agar aap kaamchor ho ya apne hi chune huye kaam se aap kaamchori karenge to kaise safalta ko prapt karenge.

Don’t take short cuts

Ji haan, Kabhi short cuts mat lijiye. Kyunki shortcuts apko kai baar takleef mein daal deti hai. Jaise ki:
  • Red light jump karna – Pakre jane par penalty deni parti hai ya accident ho sakta hai.
  • Do number ka kaam karna – Jo log do number ka kaam karte hain wo hamesha safal nahi hote. Kabhi na kabhi pakre hi jate hain.

Can read: Best Success status, quotes for Whatsapp, Facebook.

Aise kai example ya log aapne dekhe honge apni life mein. To kya aap bhi shortcut lena chahte hain? Agar haan, to time waste karoge aap apna. Agar naa to aap safalta ka upay kya kya ho sakte hain achche se samajh gaye hain.

Baro ka aashirwad

Ji haan, bina apno ke aur baro ke saath ke kya aap safal ho sakte hain? Haan, ho sakte hain agar apka apna koi nahi hai. Dekha gaya hai, jo insaan samman karta hai:
  • Apne maa-baap ka
  • Apne se baron ka
  • Apne samkaksh logon ka

Can read: Best status, quotes, thoughts of the day. Motivate your friends.

To kabhi bhi wo insaan asafal nahi ho sakta. Kyunki sabhi ka pyar aur ashirwad ese insaan ko dukhon se bahar nikal deta hai.

Conclusion

Aaj hamne dekha ki Safalta pane ke upay, tarike, tips aur tarkib kya hai. Ji haan, safalta ke upay ko dhundhne aur follow karne wale hamesha safalta ki sidhi chadte hain aur chadthe hi jaate hain.

Agar apko hamara content safalta pane ke upay in hindi achcha laga to please apne friends ke sath share karein. In fact, aap hame like kar sakte hain facebook par. Kyunki aapka har ek like ya tweet hame motivate karega aur achcha aur realistic likhne ke liye. Enjoy suvichar collections with your friends across the world.


No comments:

Post a Comment