Monday, 23 January 2017

Baal Lambe Karne Ke Gharelu Nuskhe In Hindi, Long hairs







Aaj dekhenge ki Balo ko lamba karne ka tarika, upay, tips kya hai. Apne baal lambe karne ke gharelu nuskhe sikhe wo bhi hindi mein.



Aap larke ho ya larki. Aap married ho ya single. Aap kuch bhi ho par apne balon se pyar jarur hoga. Aur isiliye aaj aap long hairs ke tips ko dhundh rahe ho.


Baal Lambe Karne Ke Gharelu Nuskhe In Hindi

Kehte hain baalon ke peeche kafi parishram hota hai. Khaas taur per ache baalon ke peeche. Kuch logon ke genes hi aise hote hai ki unhe jyada mehnat nhi karni padti. Per jyadatar logon ko kuch khaas karna padta hai aur isiliye balo ko lamba karne ka tarika dhundhte aur dekhte hain. Yaad rahe mehnge chemical use karne se achcha hai Baal lambe karne ke gharelu nuskhe sikhe wo bhi hindi mein.

baal lambe karne ke gharelu nuskhe ke fayde kya hai?

  • No side effect – Ji haan, aap na hi koi chemical ya harmful product use karoge.
  • Almost free of cost – Yes, aapki jeb ko khali bhi nahi karega.
  • Trustful – Jab shampoo ya conditioner nahi tha to kaise long hairs hote the? Ji haan, trustful aur purane balo ko lamba karne ka tarika hi use hota tha.


baal lambe karne ke nuskhe in hindi

Sabse pehle hum dekhenge ki aap jo daily use karte ho shampoo ya conditioner. Uska proper ya sahi tarika kya hona chahiye.

Agar aap issi chaah mein, dhundte dhundte iss page tak pahunche hain toh hum apko yakin se keh sakte hain ki yahan aap apne sare sawalon ka jawab paa sakte hain. Baal Lambe Karne Ke Nuskhe kya kya ho sakte hain:

  • Give Importance - Sabse important point hai ki agar aap balon ka dhyan rakkhen aur uski ache se dekh rekh Karen to balon kam tutenge. Iss wajah se balon dheere dheere volume bhi gain karega aur lambe bhi honge.
  • Type of Hair - Pehele to aap apne baalon ke type ko pehachane. Jaise ki dry, wet ya dandruff hai hairs mein. Aur phir ja ke shampoo ka chayan / choose baalon ke texture ke hisaab se Karen.
  • Use Oils- Hafte mein kamse kam do bar baalon ko oil se massage Karen. Coconut oil ek behtar option hai. Lavender oil ya Amla Tel bhi kafi asardaar hai jo apke baalon ke growth mein help karega. Champi zarur len, luckwarm oil se per iss baat ka dhyan rakkhen ki bohot jyada champi ya ragadna scalp ko nuksaan pahuncha sakta hai. Aur iss wajah se bhi baal girte hain.
  • Wash Hairs - Jis tarah oil karna zaruri hai baalon ko, usi tarah kamse kam do bar halfte mein baalon ko zaruri hai dhona. Isse dandruff ki shikayat nhi hoti. Kyunki apne notice kiya hoga jab bhi hamare baal gande hote hain, dandruffs usme panap jaate hain. Aur Dandruffs se bhi baal girtehain. Isi wajah se baalon ka saaf suthra hona zaruri hai.
  • Use conditioner - Jab bhi baal dhoyen, conditioner zarur lagayen. Iske liye aap market mein milne wale kisi ache brand ke conditioners use kar sakte hain. Ya homemade conditioners ka chayan bhi kar sakte hain.
    • Inme yogurt (dahi) aata hai. Jise aap scalp aur baalon mein laga kar ek ghante rakkhe aur phir shampoo Karen. Aap baalon mein shine aur smoothness mehsoos karenge.
    • Egg (andaa), oil (tel) aur conditioner (jo hi use karte hain) equal quantity mein lekar mix kar len aur iss mixture ko apne scalp aur baalon mein lagaaker kareeb 1 ghante ke liye baalon me chod den. 1 ghante baad shampoo kar len. Aapko wahi smoothness aur shine milegi jiski aap chaah rakhte hain.
    • Balon me mehendi (henna) karna bhi bohot acha hai baalon ke health ke liya aur ye bhi acha conditioner sabit hua hai. Agar mehendi (henna) dahi ke sath bhigoker lagate hain to aur bhi acha hai.
  • Dry your Hair - Baalon ko dhone ke baad, ek saaf towel se baandh len. Pani absorb ho jane ke baad baalon ko hamesha natural way mein dry hone den. Dryer ka use na hi Karen to beheter hoga. Gile baalon ko comb na karen. Isse baalon ko damage hone ka khatraa hota hai. Baalon ko comb karne ke liye hamesha mote danto ke brush ka use karen.
  • Trim Occasionally - Baalon ko 8 se 12 hafton ke beech kamse kam ek bar trim zarur karen. Kyunki hamare baalon ke bottom part jald dry ho jate hain. Kai bar split ends ki wajah se baalon ka growth ruk jata hai. Inhe dur karne ke liye trim zaruri hai. Agar apke baalon ki growth achi hai to 8 halfte per trim karen aur agar growth slow hai toh bhi 12 hafton ke baad trim zaruri hai.
  • Avoid Tight hair style - Tight hairstyle se jyada bachen. Ye apke baalon ke root ko damage kar sakta hai. Jiski wajah se hairfall hona possible hai. Hairstyle aisa Karen jisme aap confortable ho. Eat Nutritious food - Acha khana aur stress free rehne se aap apne baalon ki achi sehat paa sakte hain.


Baal Lambe Karne Ke Gharelu Nuskhe

Ab dekhenge ki gharelu upay ya tarike kya ho sakte hain balon ko lamba karne ke. Ji haan, jaisa humne pehle kaha tha ki shampoo or conditioner se pehle kya kisi ke baal lambe nahi the? The aur wo balo ko lamba karne ka gharelu tarika use karte the. Chaliye jaane wo tarike kya kya hai:

  • Onion (pyaaz ) ka ras: 1-2 ghante ke liye aaply Karen aur dho den. Khas taur per laal wale pyaaz.
  • Aloo ka ras: patle baalon ke agar aap shikar hain to ye nuska aapke liye hai. 15-20 minute ke liye apply Karen aur dho den.
  • Sarso ke tel, til ka tel aur jaitun ka tel sath mila len saamaan matra mein. Isme brahmi, bhringraj aur methi ke daano ka paste bhi mila len. Iss mixture ko achi tarah se ubaalne ke baad chaan len. Iss special tel se har raat kamse kamse 10 minute tak malish Karen. Finger tip ka use Karen massage ke liya.
  • Aritha, amla aur shikakai ke ghol se balon ko dhona kafi faydemand hai.
  • Usi tarah amla khane mein ya amle ka tel sir per lagane se baal mazbut, ghane aur lambe honge.


Conclusion

Aaj humne dekha ki Baal Lambe Karne Ke Gharelu Nuskhe kya hai. Aur baal nari ke saundaryataa ka prateek hota hai. Agar apko hamara aaj ka content Baal Lambe Karne Ke nuskhe in hindi achcha laga to share kare.


Apka har ek share ya like, hamari team ko achcha likhne ke liye motivate karega. Kudrat ne jo khud jo diya hai wo khubsurat hi hai. Isliye apne balo ko harmful chemical wale products se bachayen. Waise nuskhe anginat hain per humne unhi nuskhon ka zikra kiya hai jo aap easily paa sakte hain. Dhyan rakhe zaruri nhi har nuske try Karen. Janiye aur sehat se related upay in Health tips.


1 comment: