Aaj dekhenge dandruff khatam karne ka tarika, upay, treatment in Hindi. Best, top, popular, dandruff hatane ke upay, nuskhe, ilaj in Hindi. Agar aapke baalo mein rusi hai to usse chutkara pana bahut jaruri hai. Isliye aaj hum home remedies for dandruff dekhenge.
Dandruff hatane ke upay in Hindi – Karan Jano
Dandruff hatane ke upay, tarika jaanne se pehele to hume samajhna zaruri hai ki ye dandruff hote kya hain aur ye kaise aate hain. Hamara skin jo rukha ho jata hai wo nikal jata hai jiski jagah naya skin utpann hota hai. Iss kriya ko regeneration kehte hain. Kai logon ke skin normal gati se jyada tezi se nikalte hain. Dandruff patle layer numa hote hain jo aur kuch nhi dead skin hote hain. Dandruff ki wajah se sir mein khujlaahat hoti hai aur ye agar chehre per girte hain lagatar to chehre per chote chote funsi bhi ho jate hain.
Can read: Body Banane ke Liye Kya Khaye, tarika in Hindi.
Janiye wajah jinke kaaran dandruff panapte hain.
- Antibiotics
- Steroids
- Stressful lifestyle (tanaavpurn jeevan shayli)
- Hormonal fluctuation (Hormonal utaar chadhaav)
- Winter Air (Sard hawayen)
- Vitamin deficient diet (Ahaar mein Vitmin ki kami)
- Baalon ki safai sahi tarike se na hone per
- Harsh chemicals found in unhealthy shampoos (Shampoo mein paya janewale kathor rasaayan)
- Dry Skin
- Oil Skin
Can read: Pet ki gas ka gharelu upay, ilaj, nuskhe.
Dandruff khatam karne ka tarika
Chaliye ab dekhte hain dandruff khatam karne ka tarika, upay kya hai in Hindi. Agar Drusi se chutkara chahiye to bas ye gharelu nuskhe, ilaj ko apnaye. Aur dekhiye ye home remedies for dandruff kitne asar daar honge aapke liye.
Yogurt / Curd (Dahi):
Dandruff khatam karne ke liye dahi istemaaal karen. Dahi dandruff ki samasya se nijaat dilane mein kafi mahatwapurna kaam karta hai. Dahi ko aap agar miracle kahen to galat nhi hoga kyunki iska asar jadui (magical) hai. Dahi ko scalp per lagayen aur 1 ghante ke liye rehne den phir mild shampoo se baalon ko dho len. Dahi ke iss hair mask ko week mein 2 bar use karen.
Egg (Anda):
2 egg ko phent kar baalo mein lagayen aur ek ghante ke liye rehne den. Ek ghante baad baalon ko dho len. Egg apke baalon ko poshan to dega hi sath hi isse apke baal banenge soft, shiny, smooth, maneageable aur dandruff free.
Can read: Seb, Apple khane ke fayde in Hindi.
Baking Soda:
Scalp ko pehele achi tarah geela kar len. Ab 1tsp baking soda lekar scalp per halke hantho se malen (rub gently). Ab iss hair mask ko 1 ghante rakhne ke baad shampoo kar len. Hafte mein 1 bar zarur doharayen.
Diet per dhyan den (Focus on diet):
Kahin aap koi aisi cheese to nhi kha rahe iski wajah se dandruff ho rahe hain. Jaise ki fruit juice, sirkaa – vinegar, bread, alchohol, (find more)
Khane mein oily cheezen shamil karen (Include oily food in your diet):
ye wajah bhi ho sakti hai ki apke sebaceous glands paryaapt matra mein oils produce nhi kar paa rahe hain. Aur inhi karano se aapke baal rukhe, bejaan, aur dandruff se bhare hain. Fish jaise ki salmon (rawas), mackerel (bangda macchi), sardines (Pedvey Macchi) khayen. Sath hi flaxseeds (Alsi ka beej), pumpkin seeds (kaddu ka beej), sunflower seeds (Surajmukhi ke beej), sesame seeds (til), walnuts (Akrot), aur ghee bhi khayen. Inse apke baalon ka texture improve hoga aur dandruff se bhi nijaat milega.
Can read: Badam khane ke fayde in Hindi.
Shampoo badal len (change your shampoo):
Ho sakta hai ki apka shampoo badalne ka waqt aa gaya hai. Agar apka so-called shampoo dandruff se nijaat nhi dila paa raha to beheter hoga ki aap shampoo badal len. Ya to to koi homemade shampoo istemaal karen.
Essential Oils:
- 2tsp Lemon Juice, 1tsp Lavender Oil, aur 1 cup pani. Inhe mix ker len aur baalon mein iss ghol ka halke hantho se sirf per massage karen. Massage ke baad 5mins tak rehene den phir shampoo kar len. Week mein 1bar iska rayog karen. Agar apke baal dry hain to lemon juice ke jagah orange ke juice ka prayog ka sakte hain.
- 10-12 drops Tea tree oil ko olive oli ya sesame oil ke sath mix karke massage karen aur raat bhar ke liye rehne den. Subha baalon ko dho den. Tea tree oil mein anti – inflammatory properties hain jiske karan baalon ke dandruff aur baalon ka jhadna jald khatam ho jayega. Tea tree oil mein anti – inflammatory gun ke alawa, anti –fungal aur anti – septic properties bhi hain jiske kai fayde hain jaise sirdi khasi se bachana, skin infection, katne chilne per prayog mein laa sakte hain. Tea tree oil prakriti ka vardaan hai.
Aloevera Gel:
Aloevera mein bhi Anti – inflammatory , Anti – fungal, Anti – septic gun paye jate hain. Aloevera ke patto ko kaat ker uska gel nikaal len aur ise directly scalp per malen. Isse dandruff se nijaat to milega hi sathi hi dandruff se hone wali khujli bhi gayab ho jayegi. Niyamit roop se iska istemaal karen. Kaamse kam week mein 2 bar.
Can read: Dant dard ka ilaj, upay in Hindi.
Methi ke daane (Fenugreek seeds):
2 tsp methi ke daane raat ek bowl mein bheego kar rakh den. Subha iska paste taiyyar kar len aur scalp per lagayen. 1ghante baad baalon ko dho den. Week mein 2 bar ise try karen.
Vinegar (Sirkaa):
Vinegar aur pani samaan matra mein lekar baalon mein 5 min ke liye massage karen aur 1 ghante ke liye rehne den shampoo se baalon ko dho den. Apple Cidar Vinegar try kar sakte hain.
Henna / Mehendi:
Mehendi mein thoda lemon juice, dahi mila kar 8 ghante tak rakh den. Ise 8 ghante baad apply karen. Mehendi apke baalon ko soft karega aur lemon juice dandruffs ko cure karege. Dahi baalon per conditioner ka kaam karega.
Can read: Hatho ko gora karne ke upay, Tarike.
Neem ke pattiyon ka lep:
Neem ki pattiyon ke lep se payen dandruff ko hatane ka upay. Iss lep se Scalp per ache se massage karen aur paye dandruff free baal. Iss lep ko 30 min tak rakhen aur shampoo kar len.
Dandruff treatment in Hindi - Tips
Ab hum dekhenge kuch zaruri batein jo apko dandruff hatane ke upay ke jaise help karega. Isse hamesha ke liye bachne mein sahayeta dega:
Baalon ki safai per dhyan den:
Baal agar saaf rahenge, pollution se dur rahenge to apko dandruff ki samasya nhi hogi. To halfe mein baalon ko kamse kam 2 bar zarur dhoyen.
Can read: Baal lambe karne ke gharelu upay in Hindi.
Bharpoor matra mein pani piyen:
Ji bilkul dher saara pani piyen kyunki shirr mein pani ki kami se skin dry hoti hai aur iss wajah se bhi dandruff utpann hote hain.
Stress se bachen:
Jaise ki humne apko bataya ki stress ki wajah se bhi dandruff panap jate hain, aise case mein apke liye beheter hoga ki aap yoga try karen. Apna mood badalne ka prayaas karen. Walk per jayen, massage len, workout karen ya koi pyara geet sune. Maksad yahi hai ki apko apna man badalna hai.
Probiotics len:
Agar Vitamin ki kami ki wajah se dandruff ho rahe ho to aap probiatic ka sahara len sakte hain. Ye probiotics apke sharir mein jis bhi vitamin ki kami hai use puraa karega taki aap dandruff se chutkara paa saken.
Can read: Ghutno ke dard ka ilaj, upay, tarika.
Conclusion
To aaj aapne dekha ki inn ghar mein maujood cheezon se kaise hum dandruff khatam karne ka tarika ya upay dhundh sakte hain. Ye bohot hi asaani se milane wali cheezen hain. Inka prayog karen aur dandruff ko dur bhagayen kyunki dandruff baalon mein hona achi baat nhi. Ye apke bane banaaye impression ko down kar sakte hain. Dandruff kisi ke bhi ache khase confidence ki band bajaa sakte hai. To kya soch rahen hain aap uthiye aur iss dandruff ko nikaal phenkiye.
Can read: Bukhar ka gharelu ilaj, Home remedies for fever.
Can read: Kamar dard ka ilaj, totka, upay in Hindi.
Agar apko hamara content on Dandruff khatam karne ka tarika, upay in Hindi achcha laga. To please share kare apne friends ke sath. Ho sakta hai wo bhi apne balon ke dandruff hatane ke upay in Hindi mein dhundh rahe honge. Aap chahe to hamare health tips collection ko refer kar sakte hain hain.
No comments:
Post a Comment