Aaj dekhenge ki mobile, smart phone, android se paise kamane ke apps kaun se hai. Sirf free, best, top mobile se paise kamane ke apps.
Ji haan agar apke pass smart phone hai to aap apps se paise kama sakte hain. Aaj hum mobile apps se paise kamane ke alag alag tarike, upay aur tricks ko sikhenge.
Paise Kamane Ke Apps – Top 10 Apps
Chaliye dekhte hain ki Mobile se paise kamane ke apps kaun kaun se hai.
Ipoll
Ipoll ek legit company hai jo apko survey ke alawa dusre ways degi earnings ke liye. Apko alag alag companies ke mission milenge. Jise complete karne par apko commission milega.
Can read: Online Paise Kamane Ke 100 tarike, upay.
Points to remember:
- $5 bonus on signup – Ji haan, join karte hi aapko $5 ka credit milega.
- Gift cards – agar apki earning $50 nahi hui to aap usse niche ke amount ke gift card ya magazine subscription le sakte hain.
- No location restriction – Har country mein ye work karega. Jo ki ek achchi baat hai survey companies ke liye.
Can read: Facebook se paise kaise kamaye ?
To kya kehte ho? Hai na ye mobile se paise kamane ke apps mein se ek?
Payment : $50
Payment mode: Paypal
Can read: Paise Kaise Bachaye, money saving tips.
Google Opinion Rewards
Naam to suna hi hoga aapne? Ye apko brand ki quality apne aap bata dega. Aur mere hisab se ye best paise kamane ke apps mein se ek hai. Bas android phone mein download karo aur paise kamane ke upay dhundhte raho.
Apko alag alag tarah ke surveys complete karne honge. Jiska amount alag alag ho sakta hai.
Points to remember:
- Test survey – pehle apko ek test survey karna hoga. Ye sirf apko survey kaise karna hai uske liye hai.
- Shopping experiences – inke jyadatar survey shopping se related hota hai. Aap ko jitna shopping ka experience hoga utna apke liye achcha hoga.
- 10 - 60 second survey – bas itne hi time ka survey karna hai apko.
Can read: Mobile se paise kaise kamaye ?
Iska matlab hai ki aapki jo bhi earning hogi use aap google play store mein apps, books, movies, games and etc kharidne mein use kar sakte ho. Thik hai ye ek virtual paise kamane ke apps jaisa hai. Par trustworthy hai aur aap credits use karke stuffs to kharid hi sakte ho na.
Payment: No cash payment
Mcent
Mcent bahut hi popular aur sabse jyada pay karne wala free recharge app hai. Mcent best option hai paise kamane ke apps mein se. aapki earning 3 tarike se ho sakti hai:
- Complete the offer.
- Download apps
- Refer your friends.
Mcent ek achcha app hai jo free recharge provide karta hai apps ko download karne par aur friends ko refer karne par.
Payment : Rs 20/ refer
Payment mode : Need to check.
Earn Talktime
Isme aap app ko install karke paise kama sakte hain. Iska ek plus point ye hai ki aap apne mobile ke sath sath apni girlfriend ya boyfriend ke mobile ko bhi recharge kar sakte hai.
Points to remember:
- Referral amount – apke link ko use karke jo bhi register karega to apko Rs.10 milenge.
- App installation by your referral – apke referral ne agar app install kiya to apko Rs. 15 milenge.
- On recharge – Agar wo recharge karayega apne mobile ko to apko Rs 25 milega.
To batao hai naa ye bhi achcha option from the paise kamane ke apps mein se ?
ESPN Streak for the cash
Agar apko sports ki achchi jankari hai to aapke liye ye app achcha hai. Kyunki isme sports se related surveys ya quiz jaisa kuch hoga. Samajh lo ki aapko challenge dena ya accept karna hoga.
Dekha jay to ye ek game jaisa hi hai. Apko pick karna hoga matchups mein se. Earn Money
Earn money bhi achcha option hai paise kamane ke apps mein se. Kyunki aap isme kai tarike se paise kama sakte hain:
- Free/paid app download karke.
- Free/paid website par register karke.
- Friends ko invite kar ke.
- Surveys complete kar ke.
Can read: Whatsapp se paise kaise kamaye ?
Payment:
Payment mode: Paypal
GigWalk
Ye bhi ek achcha option hai mobile se paise kamane ke apps mein se. Isme aap kai tarike se paise kama sakte hain:
- Take photographs
- Test mobile apps
- Delivery services ko review kar ke.
Can read: Website, blog se paise kaise kamaye ?
Payment : $6
Payment mode : Paypal
App Trailers
Isme aapko kuch nahi karna hai. Ya kehlo ki enjoy karna hai. Bas video trailers ko dekho aur points gain karo.
Payment mode: paypal or amazon gift codes.
Can read: Ghar baithe paise kaise kamaye ?
NPolls
Ye ek aisa app hai jo apke genuine opinion ko value deta hai. Jo bhi topic aapko mile bas uss par natural or real opinion do or paise kamao online.
- Complete karo survey – paisa kamao survey karke.
- Opinion – paise kamao opinion dekar
Payment : $10
Payment mode: Paypal
Can read: Ameer kaise bane, Amir banne ke tarike kya hai ?
Batao hai ki nahi ye ek best mobile se paise kamane ka apps mein se ek?
Jingit
Ye app apko kai tarah se paise kamane ke option dega. Jaise ki:
- Scan/photo of product – kuch special stores ya location se liye gaye interesting products ke photo par apko earning milegi.
- Surveys – aap surveys karo aur paise kamao.
- Videos – videos dekhne par bhi aap achcha earn kar sakte ho.
Payment: $5
Payment Mode: Jingit Visa debit card
Can read: Laxmi prapti, Dhan prapti ke upay, tarike kya hai ?
Paise Kamane Ke Apps - Important Tips
Sabse pehle to apko ye samajhna hai ki kuch bhi jaldi se nahi hota hai. har kaam mein thora waqt to lagta hai. Bas kuch baaton ka dhyan rakhein:- Avoid paid apps - ji haan, shuru mein free apps se paise kamane ki socho. Baad mein jab lage ki haan aap earn kar rahe ho to paid plans ki taraf badho.
- Paitence - Kisi bhi kaam mein safalta pana hai to paitence rakhna hoga. Aisa na ho ki apne thora time diya aur paisa na milne par aapne chor diya.
- Avoid Paid survey - Jo survey company apse paise mange survey karne ke liye to uss company se to dur hi rehna chahiye.
- Good for pocket money - Jyadatar survey companies apko bahut kam paise degi survey karne ke liye. Par ye aapke pocket money ke liye bahut hai.
Bas aise hi kuch important points hai jo apko miss nahi karna hai. Baaki mobile se earning ke different different tarike aap bhi dhundh sakte hain. Agar pata chale to hame bhi bataye.
Conclusion
Doston, aaj hamne dekha ki paise kamane ke apps kaun kaun se hain. Sare money making apps free of cost hai. Ji haan, free mein mobile se paise kamane ke apps wo hain jo aap install karoge aur dhan kamaoge.
Can read: Software kaise banate hai, Aur dhan kaise kamate hai ?
Agar apko aaj ka content achcha laga to please hame like ya tweet kare hamare liye. Ji haan, apka har ek like hame motivate karega interesting aur result oriented articles likhne ke liye. Enjoy our make money tutorial collections.
No comments:
Post a Comment